Yaad teri aai tu phir kya karoongi main
tanhai mein beth kar phir rooya karoongi main
agar naseeb ne kardiya eik dosre se juda hum ko
raaton ko na phir sooya karoongi main
zahar peeti jaoongi aansoo ka tamaam umar
aur tujh ko sada khush rehnay ki dua dongi main
aghar mil gayee himmat mujhe sambhalne ki
toote huwa dilon ko phir milaya karoongi main...!!
...
0 comments:
Post a Comment